Har ek baat pe kehte ho tum ki tuu kya hai – A Ghazal of Mirza Ghalib in Hindi script
Har ek baat pe kehte ho tum ki tuu kya hai
tumhi kaho ki ye andaaz-e-guftaguu kya hai
chipak raha hai badan par lahuu se pairaahan
hamaare jaib ko ab haazat-e-rafoo kya hai
jalaa hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga
kuredte ho jo ab raakh justajuu kya hai
ragon mein daudte firne ke ham nahi kaail
jo aankh hee se na tapka to fir lahuu kya hai
rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi
to kis umeed pe kahiye ki aarzoo kya hai
hua hai shah ka musaahib fire hai itraataa
vagarna shahar mein ‘Ghalib’ kee aabruu kya hai
– A Ghazal by Mirza Ghalib
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.