Most Popular Classical Sher of 100 Mirza Ghalib is the most read and quoted poet of Urdu language in the world. His poetry (Shayari) is so popular that people often used to quote them in their daily life. Here I have compiled a few most popular Sher, Ash’aar from his huge collection, which are very famous among the Shayari lovers.
Best 2 Line Mirza Ghalib Shayari’s

Mirza Ghalib shayari in Hindi.
Dil say terey nigaah jigarr tak utarr gaye, Dono ko eik adaa mein razaamand karr gaye …
Unkay dekhnay say jo aa jaati hai muh par raunaqq, Woh samajhatey hai ki bimaar ka haal achcha hai..
Is qadarr tora hai mujhaay uss ke be-wafaai nay “ghalib” Abb koi agarr pyar se bhi daikhaay to bikharr jata hoon mai …
Kitnaa khouff hota hai shaam kay andheroon mein, Poonch un parindoo say jin kay gharr nahi hotay .
Hum toh fanaah ho gaye uskii ankhen dekh kar Ghalib, Naa janay woh Aainaa kiasay dekhte hogey.
Kaaba kis munh se jaaoge ‘Ghalib’
sharm tum ko magar nahi aati
Kitne sheereen hain tere lab ki raqeeb
gaaliyaan kha ke be-mazaa na hua
Koi ummeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
Kaun hai jo nahi hai haazat-mand
kis kee haazat ravaa kare koi
‘Ghalib’ chhuti sharaab par ab bhi kabhi-kabhi
peeta huun roz-e-abra o shab-e-maahtaab mein
‘Ghalib’ bura na maan jo vaaiz bura kahe
aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise
Jab ki tujh bin nahi koi maujood
fir ye hangama ai khuda kya hai
Jaan tum par nisaar karta huun
mai nahi jaanta dua kya hai
Jee dhoondhta hai fir vahi fursat ke raat din
baithe rahen tasavvur-e-jaanaan kiye huye
Tum jaano tum ko gair se jo rasm-o-raah ho
mujh ko bhi poochhte raho to kya gunaah ho
Tire vaade par jiye ham to ye jaan jhoot jaana
ki khushi se mar na jaate agar etibaar hota
Thee khabar garm ki ‘Ghalib’ ke udenge purje
dekhne ham bhi gaye the pa tamasha na hua
De mujh ko shikaayat kee ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko mazaa bhi mire aazaar mein aave
Apni gali men mujhko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyuun tera ghar mile
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe, humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
“Koi Mere Dil Se Pooche Tere Teer-e-Nim Kash Ko; Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota!”
“Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai; Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota; Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya; Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota!”
Apni Gali Mein Mujh Ko Na Kar Dafn Baad-e-Qatl; Mere Pate Se Khalak Ko Kyon Tera Ghar Mile; Saqi Gari Kee Sharm Karo Aaj Varna Hum; Har Shab Piya Hi Karte Hain Mai Jis Kadar Mile!
“Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai; Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai; Hum Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar; Ya Ilaahi Yeh Maajra Kya Hai!”
Gham Se Marta Hun Ki Itna Nahi Duniya Mein Koi; Ki Kare Taziyat-e-Mehr-o-Wafa Mere Baad; Aaye Hai Bekasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib; Kiske Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!
Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi; Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi
Woh Baada-e-Shabana Kee Sar-Mastiyan Kahan; Uthiye Bas Ab Ke Lazzat-e-Khwab-e-Sehar Gayi; Udti Phire Hai Khaak Meri Koo-e-Yaar Mein; Baare Ab Aaye Hawa Hawas-e-Baal-o-Par Gayi!
Leave a Comment
You must be logged in to post a comment.